Kho Gaye Sajna Lyrics
kho gaye saajna tum na jane kahan
  kho gaye saajna tum na jane kahan
  aaj bhi main wahi hu khadi
  chhodkar tum gaye the jaha
  kho gaye saajna tum na jane kahan
  
  suni suni dil ki raahe
  kab se hai baahe failaye
  jin aankho me pyar basa tha
  ab hai unme gham ke saye
  jeena marna bhul gaye hum
  lekin tumko bhul na paye
  raat din sath hai teri parchhaiya
  kho gaye saajna tum na jane kahan
  
  main kisko samjhau aakhir
  dil diwana nain diwane
  ab tak mere pass hai tu hi
  dil kahta hai nain na mane
  dukh birha ka gham duri ka
  dukh birha ka gham duri ka
  jis par beete wo hi jane
  das rahi hai mujhe meri tanhaiya
  aaj bhi main wahi hu khadi
  chhodkar tum gaye the jaha
  kho gaye saajna tum na jane kahan
  tum na jane kahan
                            
                            
                        