Kal Raat Darvajje Ki Lyrics
haye kal rat darwaje ki o sakal khadak gayi
  haye kal rat darwaje ki haye sakal khadak gayi
  darwaja khola to baniya khada tha
  jarde ka pan uske muh me daba tha
  kal rat darwaje ki ho sakal khadak gayi
  
  ari khol ri kiwadiya jara ari khol ri kiwadiya jara
  kamre ke andar bula pyari kamre ke andar bula
  sone ka palanwa mai tujhko managadu
  ghr ko bana du mai kila
  bhaga tabhi ghar se jab mai bhadak gayi
  kal rat darwaje ki ho sakal khadak gayi
  
  kal rat darwaje ki ho sakal khadak gayi
  darwaja khola to darji khada tha
  bedi tapake ghar ki shidi chadha tha
  ka lrat darwaje ki haye sakal khadak gayi
  ari khol ri kiwadiya jara ari khol ri kiwadiya jara
  kamre ke andar bula rani hamko bhi andar bula
  salme sitare angiya ke tapu darji bada tha chulbula
  sunke bani bijlai mai to uspe kadak gayi
  kal rat darwaje ki ho sakal khadak gayi
  
  kal rat darwaje ki ho sakal khadak gayi
  darawaja khola tha raja khada tha
  mujhko laga wo pyasa khada tha
  kal rat darwaje ki ho sakal khadak gayi
  maine khol ke kiwadiya kaha kamre ke andar to aa
  raja kamre me jab aa gaya
  chandi ki gilasiya me jab dudh leke aayi 
  dhar pakdi usne kalai
  chori chori dekha maine lete angdayi use
  chori chori dekha maine lete angdayi use
  jhat se sejariya sajayi
  age kahu kya mai juba haye haye atak gayi