Sach Hai Ye Koi Ilzam Nahi Hai Lyrics
sach hai ye koi ilzam nahi hai
  are sach hai ye koi ilzam nahi hai
  kaun hai jo joru ka gulam nahi hai
  kaun hai jo joru ka gulam nahi hai 
  sach hai ye koi ilzam nahi hai 
  kaun hai jo joru ka gulam nahi hai
  kaun hai jo joru ka gulam nahi hai 
  
  ye to har mard ki hai pahli khasiyat
  ha pahli khasiyat bhaiya pahli khasiyat 
  duji ka hai chaska tijipe hai niyat
  ha tijipe hai niyat, ha tijipe hai niyat
  isi liye apni se darta hai wo
  din raat chaplusi karta hai wo
  varna use kya koi kaam nahi hai
  varna use kya koi kaam nahi hai 
  kaun hai jo joru ka gulam nahi hai
  kaun hai jo joru ka gulam nahi hai  
  
  joru ki gulami me bhi aata hai maja
  bhaiya aata hai maja, ha ha aata hai maja 
  puchhe koi unse jinhe hai ye pata
  ha jinhe hai ye pata, bhai jinhe hai ye pata
  jitna bhi maska lagate jayenge
  utna wo band sukh paate jayenge 
  maske ka yaar koi kaam nahi hai
  maske ka yaar koi kaam nahi hai
  kaun hai jo joru ka gulam nahi hai
  kaun hai jo joru ka gulam nahi hai
  
  apni to daal hai parayi murgi
  ha parayi murgi, bhai parayi murgi 
  daana phir daalke fasayi murgi
  ha fasayi murgi, bhai fasayi murgi
  kudu kudu kudki aawaz jab aayi 
  to hone lagi ghar mein miya ki pitayi 
  kahi lambu ki pitayi, kahi chhotu ki pitayi 
  kahi duble ki pitayi, kahi mote ki pitayi 
  kahi taklu ki pitayi, kahi haklu ki pitayi
  are aisa pitna bhi to haraam nahi hai
  aisa pitna bhi to haraam nahi hai
  kaun hai jo joru ka gulam nahi hai
  sach hai ye koi ilzam nahi hai 
  kaun hai jo joru ka gulam nahi hai
  kaun hai jo joru ka gulam nahi hai 
  kaun hai jo joru ka gulam nahi hai
  kaun hai jo joru ka gulam nahi hai 
  are kaun hai jo joru ka gulam nahi hai
                            
                            
                        