Seeta Bhi Jahan Sukh Pa Na Sakhi Lyrics
na tera durbhagya naya hai na jag ka vyahwar naya na raho ke sul naye na pathar dil sansar naya sita bhi jaha sukha pa na saki tu us dharti ki nari hai sita bhi jaha sukha pa na saki tu us dharti ki nari hai jo julm teri takdir bana jo julm teri takdir bana wo julm yugo se jari hai sita bhi jaha sukha pa na saki tu us dharti ki nari hai wo kanya ho ya garbhwati ho nari ko sada apman mila wo kanya ho ya garbhwati ho nari ko sada apman mila awtaro ki nashal badhakar bhi patitao me parasthan mila sadiyo se yaha har abla ne sadiyo se yaha har abla ne ro ro ke umar gujari hai sita bhi jaha sukh pa na saki tu us dharti ki nari hai kahne ko to devi kahlayi par nar yaha daasi hi rahi kahne ko to devi kahlayi par nar yaha daasi hi rahi do pyar ke mithe bolo ki marte dam tak pyasi hi rahi jo jahar mile wo piti ja tu kaunsi janam dulari hai sita bhi jaha sukha pa na saki tu us dharti ki nari hai mayka chuta sasural chuta jayegi magar jayegi kaha mayka chuta sasural chuta jayegi magar jayegi kaha ab balmiki sa koi rishi is dharti par payegi kaha ab tu ek bhatki hirni hai ab tu ek bhatki hirni hai or mard ki aankh shikari hai sita bhi jaha sukha pa na saki tu us dharti ki nari hai sita bhi jaha sukha pa na saki tu us dharti ki nari hai