Chilman Se Nikal Kar Saamne Aa Lyrics

masti ke andaaz me hum dilo ke gahre raaz me hum har nagme har saaz me hum har mithi aawaz me hum mehfil ki har sham me har ek jaam me rahte hai aji puchhiye hum kaun hai hume ishq kahte hai aa kaliyo ki shokh jawani me aur angur ke pani me har chandni raat suhani me har dil ki jawa kahani me nakab me parde me kabhi chilman me rahte hai aji puchhiye hum kaun hai hume husn kahte hai chilman me rahte hai chilman se nikal kar samne aa hum jalwe churane aaye hai jara dil ki khidki khol ke tere yaar purane aaye hai is husn ke chahne wale yaha kai baar diwane aaye hai wo khak huye in galiyo me jo khak udane aaye hai is husn ke chahne wale yaha ae laila tere majnu hai hum koi gair nahi ae shokh hasi barso se tere dildar hai hum kya itna tumko yaad nahi jitne bhi purane kisse hai kisse hai kisse hai jitne bhi purane kisse hai wo yaad dilane aaye hai jara dil ki khidki khol ke tere yaar purane aaye hai chilman se nikal kar samne aa majnu aur ranjhe bankar tum na zindagi ko barbaad karo halat kya huyi thi unki bhala jara dil ko pakad ke yaad karo lut jaye khud hi raaho me raaho me raaho me o lut jaye khud hi raaho me jo husn ko pane aaye hai wo khak huye in galiyo me jo khak udane aaye hai is husn ke chahne wale yaha na katal karo yu aahsiq ko tum mushkil me pad jaaogi jab hum na rahe to jawani ke ye nakhre kise dikhaogi zid chhod gale lag ja aake ho zid chhod gale lag ja aake tumko samjhane aaye hai jara dil ki khidki khol ke tere yaar purane aaye hai chilman se nikal kar samne aa har aashiq ki guri umar virano me biyabano me ya uljhe rahe maikhano me ya dube rahe paimano me jab apna kahin bhi thikana nahi kahan humko le jane aaye hai wo khak huye in galiyo me jo khak udane aaye hai is husn ke chahne wale yaha itna hai gurur jawani ka to ek din tum pachhtaogi agar ishq mukammal hai to mere kadmo me chalkar aaogi is ishq me kitni taqat hai taqat hai taqat hai is ishq me kitni taqat hai wo tumko dikhane aaye hai jara dil ki khidki khol ke tere yaar purane aaye hai chilman se nikal kar samne aa is husm ke raaz bade gahre kuch aayega tere hath nahi accha hai bach ke nikal ja tu ye tere bas ki baat nahi jal gaye sab husn ki shama pe shama pe shama pe jal gaye sab husn ki shama pe jitne parwane aaye hai wo khak huye in galiyo me jo khak udane aaye hai is husn ke chahne wale yaha zamane me hai ishq sabse bada magar husn ke aage ahi ishq kya yahi hai ibadat yahi hai dua is husn me hai wafa hi wafa ke main ishq ko maanta hu khuda mujhe bhi tu khuda ka jalwa dikha ek baar tu meri baaho me aa najar aaye tujhko khuda hi khuda khuda hi khuda, khuda hi khuda ek baar tu meri baaho me aa najar aaye tujhko khuda hi khuda