Duniya Walo Lyrics
duniya waalo aao tumhe is duniya ki tasvir dikhaaye kaise bani aur kaise bigdi aurat ki takdir dikhaye duniya waalo, duniya waalo kuch din pahle ye aurat bhi thi kisi ke dil ki raani thi bachpan tha rangin jawani pyar se bhari kahani thi aaj na jaane kis majburi se faansi pe latki hai kisi ne ispe julm kiya hai tabhi to raah se bhatki hai aurat jo kamjor bhi hai majbur bhi hai, bechari duniya waalo, duniya waalo ye bhi ek aurat hai jisne acche ghr me janam liya baithi hai bajaar me isne aisa kaun sa karam kiya dharam ke thekedaaro ne hi bikne par majbur kiya jisne pyar diya isne usi ne dil ko chur kiya aurat jo kamjor bhi hai majbur bhi hai, bechari duniya waalo, duniya waalo jaane kitne araama le ke ye sasuraal me aai thi pyaar mohabbat aur wafa ki daulat hi sang laai thi iska dosh garibi hai jo sabne ise dhutkara hai aaj isi ke pati ne isko maut ke ghaat utara hai aurat jo kamjor bhi hai majbur bhi hai, bechari duniya waalo, duniya waalo aao tumhe is duniya ki tasvir dikhaaye kaise bani aur kaise bigdi aurat ki takdir dikhaye duniya waalo, duniya waalo duniya waalo, duniya waalo