Chaand Tanha Lyrics
chand tanha hai aasma tanha
  dil mila hai kaha kaha tanha 
  chand tanha hai
  
  bujh gayi aas chhup gaya tara
  thartharata raha dhuaa tanha
  chand tanha hai
  
  jindagi kya isi ko kahte hai
  jindagi kya isi ko kahte hai
  jism tanha hai aur jaan tanha
  chand tanha hai
  
  humsafar koi gar mile bhi kahi
  dono chalte rahe tanha tanha
  chand tanha hai
  
  rah dekha karega sadiyo tak 
  rah dekha karega sadiyo tak
  chhod jayenge ye jaha tanha
  chand tanha hai
                            
                            
                        