Ram Raam Lyrics
ram ram ram
  maila maili chadar jaisa, chola mere man ka
  thoda dosh meri ankhiyo ka
  thoda mere man ka
  maine vish ko amrit samjha
  maine dhokha khaya
  krodh lobh maya main taj ke
  ram tere ghar aaya
  krodh lobh maya main taj ke
  ram tere ghar aaya
  tere mandir ki jyoti se
  man ka deep jalaya
  krodh lobh maya main taj ke
  
  pahle meri aankh khuli na
  pahle meri aankh khuli na
  ye sapna na tuta
  sapne me koi kya jane
  kya saccha kya jhutha
  main murakh kya janu maine
  kya khoya kya paya
  krodh lobh maya main taj ke
  ram tere ghar aaya
  tere mandir ki jyoti se
  man ka deep jalaya
  krodh lobh maya main taj ke