Tin Taal Par Naach Budhaape Bachapan Aur Javaani Ka Lyrics
tin taal par naach, tin taal par naach budhaape bachpan aur javaani ka rang hazaaro, rang hazaaro magar zindagi ek bulbula paani ka tin taal par naach hari-bhari daali ko yu hi hari-bhari daali ko yu hi patajhad mein lut jaana hai khila phul jo aaj chaman mein khila phul jo, khila phul jo aaj chaman mein kal usako murjhaana hai subah hui aur khatam fasaana subah hui aur khatam fasaana shabnam ki zindgaani ka tin taal par naach saari duniya ko hathiyaane saari duniya ko hathiyaane murakh insaa daude re do gaz dharti bane bichhauna do gaz dharti, do gaz dharti bane bichhauna upar maati odhe re mile dhul mein sapan suhaana mile dhul mein sapan suhaana duniya ki sultaani ka tin taal par naach ek bund ki pyaas pyaar ki ek bund ki pyaas pyaar ki taal-talaiya rite re badhi magar vo bujh na paayi badhi magar vo, badhi magar vo bujh na paayi janam hazaaro beete re de na paayein saat samundar de na paayein saat samundar ek bhi katra paani ka tin taal par naach, tin taal par naach budhaape bachpan aur javaani ka rang hazaaro magar zindagi ek bulbula paani ka tin taal par naach