Sheesha-E-Dil Mein Teri Tasbeer Hai Lyrics
kya hua jo na payi wafa aap se
  pyar ko mil gaya rasta aap se
  ho kya bataye hame, kya mila aap se
  jindagi ko mila aasra aap se
  o o o raaz dil ka kaha hai chhupa aap se
  hai har ek dard ka silsila aap se, wallah
  
  sheesha-e-dil mein
  sheesha-e-dil mein teri hi tasveer hai 
  sheesha-e-dil mein teri hi tasveer hai
  janeman munh chhupane se kya fayada
  sheesha-e-dil mein teri hi tasveer hai
  janeman munh chhupane se kya fayada
  sheesha-e-dil mein teri hi tasveer hai
  
  husn shabnam nahi, husn shola bhi hai
  dekhte dekhte tum badal jaaoge
  aa aa aa 
  paas aa hi gaye ho to phir soch lo
  jab ye parda hatega to jal jaoge
  jab ye parda hatega to jal jaoge
  husn ki aarzu
  husn ki aarzu koi aasa nahi
  jindagi ko mitaane se kya fayada
  sheesha-e-dil mein teri hi tasveer hai
  janeman munh chhupane se kya fayada
  sheesha-e-dil mein teri hi tasveer hai
  
  humse puchho mohabbat mein hota hai kya
  julme ulfat ke hum bhi gunhgar hai
  jin adaao ke shaida ho tum janeja
  un adao mein hum bhi girftar hai 
  un adao mein hum bhi girftar hai 
  tum bhi parde mein
  tum bhi parde mein ho hum bhi parde mein hai
  baat aage badhane se kya fayada
  sheesha-e-dil mein teri hi tasveer hai
  janeman munh chhupane se kya fayada
  sheesha-e-dil mein teri hi tasveer hai
  
  ho dil mein teri mohabbat ka arman hai
  dur se teri mehfil mein aaye hai hum
  parde wale, na khul jaaye parda tera
  apni aankho me tufan laye hai hum 
  apni aankho me tufan laye hai hum
  teri chahat mein, allah
  teri chahat mein barbad kab se hai hum
  hamse daman bachane se kya fayada
  sheesha-e-dil mein teri hi tasveer hai
  janeman munh chhupane se kya fayada
  sheesha-e-dil mein teri hi tasveer hai
  
  har hasi raste ke musafir hai hum
  husn ki jaan hai, ishq ki shaan hai
  kaun hai kitne pani mein waqif hai hum
  tum ho tufan to hum bhi chattan hai 
  tum ho tufan to hum bhi chattan hai 
  aamane samane aa gaye ho toh phir
  raaz dil ka chhupane se kya fayada
  sheesha-e-dil mein teri hi tasveer hai
  janeman munh chhupane se kya fayada
  sheesha-e-dil mein teri hi tasveer hai
                            
                            
                        