Na Kisi Se Lo Dahej Lyrics
ye rivaj aur ye samaj
  badalna ik roj hai
  beti wale ye na samjhe
  beti un pe bojh hai
  beti un pe bojh hai
  aaj har abla ka jivan
  ban raha kaanto ki sej
  na kisi se lo dahej
  na kisi ko do dahej
  aaj har abla ka jivan
  ban raha kaanto ki sej
  
  kar saka pura na babul
  beti ke arman ko
  ghar piya ke ja saki na
  chal padi shamshan ko
  na mare beti koi
  na mare beti koi
  jo mil sake piya ki sej
  na kisi se lo dahej
  na kisi ko do dahej
  aaj har abla ka jivan
  ban raha kaanto ki sej
  
  naujawano ab jaga lo
  naujawano ab jaga lo
  so rahe insano ko
  chandi ke tukdo pe
  becho na dhram imaan ko
  ab kahi chalne na dena
  rasmo ki chhuriya ye tez
  na kisi se lo dahej
  na kisi ko do dahej
  aaj har abla ka jivan
  ban raha kaanto ki sej
  
  baap beti ka jeeyega
  is jaha me kis tarah
  maarega pagdi ko thokar
  agar zamana is tarah
  kyu koi babul sake na
  kyu koi babul sake na
  beti ko sasural bhej
  na kisi se lo dahej
  na kisi ko do dahej
  aaj har abla ka jivan
  ban raha kaanto ki sej
                            
                            
                        