Wo Jo Shaayar Tha Lyrics

wo jo shayar tha chup sa rahta tha bahaki bahaki si baaten karta tha aankhe kano pe rakh ke sunta tha gungi khamosh ho ke aawaze wo jo shayar tha zama karta tha chand ke saye gili gili si noor ki boonde aankh mein bhar ke khadkhadata tha rukhe rukhe se raat ke pate waqt ke is ghanere jungl mein kachche pakke se lamhe chunta tha wo jo shayar tha haan wahi jo ajeeb sa shayar raat ko uth ke kohaniyon ke bal chand ki khodi chuma karta tha chand se gir ke mar gaya hai wo log kahte hai khudkhushi ki hai log kahte hai khudkhushi ki hai log kahte hai khudkhushi ki hai wo jo shayar tha wo jo shayar tha wo jo shayar tha wo jo shayar tha