Bhookh Hi Bhookh Hai Insaan Se Hewaan Tak Lyrics
bhukh hi bhukh hai insan se haiwan tak bhagwan se shaitan tak bhukh hi bhukh hai bhukh hi bhukh hai bharat desh me sab kuch hai ho daulat bhi hai anaj bhi or dudh ki nadiya bahti hai ho is dharti pe aaj bhi magar ye sab kuch chupa hua hai chor ke tahkhano me jo mahangayi faila kar khud aish kare maykhano me lanat hai in gaddaro par yahi to desh ke dusman hai ram raj ko lutne wale aaj bhi kitne rawan hai daulat ka koi bhukha hai roti ka koi bhukha hai bhukh hi bhukh hai bhukh hi bhukh hai daulat ne insano ko ho do hisso me bat diya hai ek amir or ek garib do namo ne janam liya hai unche mahal makhmal ke gadde chandi sona ek taraf tute jhopade khak ka bistar dukh ka rona ek taraf kimti care sari bahare ho sukh ka jina ek taraf jalte paw nanga badan ho mehanat ka pasina ek taraf bhukh kahi aaram ki bhukh kahi hai kam ki bhukh hi bhukh hai bhukh hi bhukh hai is dunia ke mele me ye khel bhi dekha jata hai koi dudh malai khata hai koi jhuthan ko lalchata hai pet ki aag bujhane ko jab jhuthan koi uthata hai ek bhukhe se dusra bhukha chinta hai le jata hai hotel ho ya kachra ghar haye roti jaha mil jati hai insan or haiwan ko ho o bhukh ek jagah le aati hai yahi tamsha dunia me sadiyo se dekha jata hai magar wo uparwala kisi ko bhukha nahi sulata hai bhukha nahi sulata hai