Khulne Do Lyrics
maili maili si subah dhulne lagi hai
  maili maili si subah dhulne lagi hai
  girah lagi thi saans mein
  khulne lagi hai khulne lagi hai
  
  barf ki dali thi koyi ghulne lagi hai
  girah lagi thi saans mein khulne lagi hai khulne lagi hai
  khulne do khulne do aasman khulne do
  khulne do khulne do aasman khulne do
  
  ujala ho to jayega kahin na kahin se
  andhera bhi chhantega hi kabhi to zamin se
  palkein to nahi hain nazar uthne lagi hain
  girah lagi thi saans mein
  khulne lagi hai khulne lagi hai
  khulne do khulne do aasman khulne do
  khulne do khulne do aasman khulne do
                            
                            
                        