Ishwar Allaah Lyrics
ishwar allah ishwar allah
  bewajah hai fiza mein rask yaha hai
  rutha hai chupke kyu sach bejuban hai
  teri nazar mein ek sabhi dil
  ishwar allah tere jaha mein
  nafrat kyu hai jung hai kyu
  tera dil to itna bada hai
  insan ka dil tang hai kyu allah
  
  kadam kadam par sarhad kyu hai
  saari jameen jo teri hai
  suraj ki fere karti hai
  phir kyu itni andheri hai
  is duniya ke daaman par
  insan ke lahu ka rang hai kyu
  
  gunj rahi hai kitni cheenkhe
  pyar ki bate kaun sune
  tutt rahe hai kitne sapne
  inke tukde kaun chune
  dil ke darwajo par taale
  talo par ye jung hai kyu
  ishwar allah ishwar allah
                            
                            
                        