Bekhayali Mein Bhi Tera Hee Khayal Aaye Lyrics
bekhayali me bhi tera hi khayal aaye
  kyu bichhadna hai zaroori ye sawaal aaye
  teri nazdeekiyo ki khushi behisab thi
  hisse mein fasle bhi tere bemisal aaye
  main jo tumse door hu kyu door mai rahu
  tera ghuroor hu aa tu faasla mita
  tu khwab sa mila kyu khwaab tod du
  bekhayali mein bhi tera hi khayal aaye
  kyun judaai de gaya tu ye sawaal aaye
  thoda sa main khafa ho gaya apne aap se
  thoda sa tujhpe bhi bewajah hi malal aaye
  
  hai ye tadpan hai ye uljhan
  kaise jee lu binaa tere
  meri ab sab se hai anban
  bante kyu ye khuda mere
  ye jo log baag hai jungle ki aag hai
  kyu aag mein jalu ye nakaam pyar me
  khush hai ye har me in jaisa kyun banu
  raate dengi bata nindo me teri hi bat hai
  bhulu kaise tujhe tu to khayalo me sath hai
  bekhayali mein bhi tera hi khayaal aaye
  kyu bichhadna hai zaruri ye sawaal aaye
  
  nazar ke aage har ik manzar
  ret ki tarah bikhar rahaa hai
  dard tumhaara badan me mere
  zeher ki tarah utar rahaa hai
  nazar ke aage har ik manzar
  ret ki tarah bikhar rahaa hai
  dard tumhaara badan me mere
  zeher ki tarah utar raha hai
  aa zamaane aazmaa le ruthta nahi
  faslo se hausla ye tutta nahi
  na hai wo bewafaa aur na mai hu bewafa
  wo meri aadato ki tarah chhutta nahi
                            
                            
                        