Ziddi Hai Dil Sunta Nahi Lyrics
ziddi hai dil sunta nahi ke mushqil hai kya
  ziddi hai dil sunta nahi ke mushqil hai kya
  behlaun mai lakh samjhaun mai magar dil hathila kahe
  tum hi iski ho tamanna tum hi iski aarzu
  dil hai mera ik jazira tum samandar char su
  dil ka main kya karun main jiyun ya marun
  kya karun kya karun tum kaho kya karun
  
  kehta hai ye dil zindagi raat hai aur tum roshni
  rehta hai ye dil khwabon ki duniya me jo hai tumse bani
  sehta hai ye dil tum bin ik aisi rut hai jo tanhai ki
  behta hai ye dil dard ki us nadi mein jo hai beh rahi
  sari majburiyan paa gayi hai darmiyan magar dil hathila kahe
  tum hi iski ho tamanna tum hi iski aarzu
  dil hai mera ik jazira tum samandar chaar su
  dil ka main kya karun main jiyun ya marun
  kya karun kya karun tum kaho kya karu
  
  soya hai ye dil bas tumhare hasin sapno ki bahon me
  khoya hai ye dil bite lamhon ko jati huyi rahon me
  goya hai ye dil aaj bhi unn mohabbat bhari baton me
  roya hai ye dil yaad karke tumhein chandani raton me
  gehri mayusiyan chha rahi hai yahan magar dil hathila kahe
  tum hi iski ho tamanna tum hi iski aarzu
  dil hai mera ik jazira tum samandar chaar su
  dil ka main kya karun main jiyun ya marun
  kya karun kya karun tum kaho kya karun
  kya karun kya karun main kya karun
                            
                            
                        