Toote Hai Sapne Lyrics
tute hai sapne sare bikhre hai pare pare
  huke zamin pe sare tare khwahisho ke.
  suni hai dil ki rahe simti hui hai bahe
  hum paar jana chahe yara gardisho ke
  tune kaisa ye khel khela kar diya hai mujhko akela
  jane kitne hai tane bane teri sazisho ke
  jeeta hu main yu hi mare ke duba hua hu ubhar ke
  kitne dariya hai ab bhi mere aage aatisho ke
  
  meri wafa ka ye kya sila hai
  tune jo mujhko diya hai
  maine hi tanha chahat ke gum ko
  kiss bekhyali mein piya hai
  sune hai dil ke arma jeene ke sare shama
  sune hai dil ke arma jeene ke sare shama
  itne nahi aasaan raste koshisho ke
  tune kaisa ye khel khela kar diya hai mujhko akela
  jane kitne hai taane bane teri sazisho ke
  jeeta hu main yu hi marreke duba hua hu ubhar ke
  kitne dariya hai ab bhi mere aage aatisho ke
  
  takra ke lauti meri sadaye na jane kaise aasma se
  jab bhi duaye mangi thi maine
  manga tha tujhko hi khuda se
  itne sitam hai tere aankho se ab ye mere
  itne sitam hai tere aankho se ab ye mere
  thammte nahi hai mausam yara barisho ke
  tune kaisa ye khel khela kar diya hai mujhko akela
  jane kitne hai tane bane teri sazisho ke
  jeeta hu main yu hi marreke duba hua hu ubhar ke
  kitne dariya hai ab bhi mere aage aatisho ke
                            
                            
                        