Ek Galti Lyrics

tera raasta dekhti hai aankhe aur tera hi intezaa kare agar aa jaye tu saamne tera hi deedaar kare teri aankho ko meri aankho ne chupke se sab kuch kehna hai tujhko sab apna maan kar tere dil mein hi bas rehna hai rutha hai dil tuta to nahi tuta bhi ho jhuta to nahi mere dil ko tujhse pyar hai tere dil ko mujhse pyar hai haan ho gayi galti mujhse main janta hu par ab bhi tujhe main apni jaan manta hu ek aakhiri mauka de mujhe aaj bhi main tujhe apni shaan maanta hu jaan maanta hu haye haan galti kardi maine par diya pyaar bhi kitna maine main insaan hu naa bhagwan hu galti hi ki hai kiya na gunaah maine jhagda hai pehla isey akhiri na hone dunga galti bhi maan li maine aise jaane na dunga sach ye naraazgi hai maine tera dil dukhaya par jaan le itna tu bhi tere bin main reh na paaya yaadon mein teri aankhein aankhon mein teri yaadein dhoondein tera chehra din bhar phir raat ko teri yaadein yaadein pagal ho gayi inko samjhaaun kaise kitna hai pyaar raani kaise batau kaise kaise ha mujhmein nahin hu main tere bina tujhse hi hu main o meri jaan tu mohabbat tu hai jannat teri zarurat hai yahaan teri khaamoshi hai leti jaan mere haan iss dil ki saans bhi na le sakun main o jaane jaan tere bina teri yaado ko kisi kone mein chhupa nahi sakta hu main tere chehre ki woh muskaan ko bhula nahi sakta hu main haan ho gayi galti mujhse main jaanta hu par ab bhi tujhe main apni jaan maanta hu ek aakhiri mauka de mujhe aaj bhi main tujhe apni shaan maanta hu