Jo Mammi Ki Aankhon Ke Tare The Hum Tum Lyrics

jo mummy ki aankho ke tare the ham tum to daidy ke dil ke sahare the ham tum ye bada luft tha jab o kuaare the ham tum suno ji bada luft tha jab kuaare the ham tum suno ji bada luft tha jab kuaare the ham tum suno ji bada luft tha jab main hero tha kitano ka shadi se pahle hangama fitano ka shadi se pahle badi byutiful thi jawani ki raate haseeno se hoti thi rangeen bate mujhe yaad hain aaj tak wo jamana hseeno ke jamght me picknick manana magar ban gayi jabse tu meri dulhan meri jindagi ban gayi ek uljhan jo shadi hui to baje mere barah meri har khushi ho gayi nau do gyarah teri budhi maa ne kabhi mujhko danta kabhi ban gaya tera baap dil me kanta kabhi jaan ko aa gaye tere bhaai kabhi tere bahano ne ki hatha paayi aur us par sitam har baras ek bachcha chalo ab mujhi ko chaba jaao kachcha hua har maja kirkira aashiqi ka samajh lo janaja utha jindagi ka paresha ho tum aur main hakka bakka sagayi ne hamko kahi ka na rakkha ye chamkte damkte sitare the ham tum aji bada luft tha jab kuaare the ham tum suno ji bada luft tha jab kuaare the ham tum suno ji bada luft tha jab kuaare the ham tum suno ji bada luft tha jab kuaare the ham tum suno ji bada luft tha jab na jab tak huyi thi meri tumse shadi main lakho ke spno ki thi shahjadi mere age pichhe tahlte the kitane jagati thi jaadu uthati thi fitane na bahno se darna na bhayiya se darna kayi baar dinbhar me banan sanwarna magar tumne kuchh aisa chakkar chalaya mohabbat ke fande me mujhko fasaya kabhi naaj fathar maother ka uthaya kabhi bhai bahno ko mashka lagaya mana tumse dhokha bada kha gayi main tumhari dulhan ban ke pachhta gyai main jo kahti hun main la do hontho ki laali to kahte ho fauran hain jeb kali jo kahti hu main la do pajeb kangan to kahte ho maajo abhi aur bartan padi kis ke palle khudaya koi dil ka arman nikalne na paya fir khush jab na ulfat ke mare the ham tum bada luft tha jab kuaare the ham tum suno ji bada luft tha jab kuaare the ham tum suno ji bada luft tha jab kuaare the ham tum suno ji bada luft tha jab ye ghar ki masayal ye bachchi ki jhanjhat aur uspar wo din raat ki tumse khat pat kabhi thakthakar jo daftar se aana tumhare hi ardar pe bachce khilana tumhara ye kahana nahi ghar me aata meri iltejaa mat pakao paratha tumhara ye kahana ki munni ke abba hua khatam ghar me jo tha ghi ka dibba ho saita ki tum beti bhuto ki khala mere ghar ka tumse nikala diwala meri tumne faisan se lutiya dubo di bade hokar bachcho ne bhi kabr khodi jo aaye bahu aur damad tauba gajab dha gayi unki aulad tauba mere pichhe padte hain wo haath dhokar banaya hain fonfo nawaso ne jokar na tum naani banti na main banta nana na ghar banta mere liye jel khana jo shadi na hoti to kuchh bhi na hota na tum mujhko roti na main tumko rota hui bhul mujhse jo shadi rachai ki dkhud jindagi apani kadvi banai to mohabbat ke mithe chhuhare the ham tum ye ye bada luft tha jab kuaare the ham tum suno ji bada luft tha jab kuaare the ham tum suno ji bada luft tha jab kuaare the ham tum suno ji bada luft tha jab tumhe ghar ka jhanjhat jo lagaya hain bhari to ban jaate sauhar ke badale madari jo sauhar bane ho to nakhkre bhi jhelo kaha kisne tha pyaar ka khel khelo jo dulha bane ho to fir funko chulha jhulao nawasho ka poto ka jhula milaye the kanjus sauhar ke tauba muh futa hain mera mukaddar ke tauba tumhare dukho ne ye halat bana di are kaash main tumse karti na shadi kabhi yu ham dono barbad hote main ajad hoti to najad hote kaha is kadar beshare the ham tum aje bada luft tha jab kuaare the ham tum suno ji bada luft tha jab kuaare the ham tum suno ji bada luft tha jab kuaare the ham tum suno ji bada luft tha jab ye jivan ye shadi ka ianjan ye do pal ka sukh jindagi bhar ki uljhan muhammad gali ham to rassi me kaskar huy khaye ham to ghar ke lafado me fanskar