Zaroori Bewakoofi Lyrics
ek baar ki baat thi ek dum fizool ki
  parinda ik suljha tha patang se uljha tha
  ulta wo pulta wo mohabbat se phisla woh
  gir kar sambhal kar wo khoya khoya sa hans kar wo
  
  akhiyon ki masti me jo dastan ye jhalakti hai
  dikhti hai chhupti hai haule se bulati hai
  kahani atrangi si paheli anokhi si
  thodi adhoori si zaroori bewakoofi si
  
  baith kar wo sochta hai parinda tha jo hamara
  dagmaga chuka tha phir irada hichkichaya
  sawalon se door jawabon se door us ehsaas ke pass 
  jo khud me-khud me bhar-poor
  
  lagti bas khud ki par hai wo ab sabki
  ik rangon ki toli aabaad aur azaad aisi kamal ki
  yeh sapnon ki jholi
  
  kahani atrangi si paheli anokhi si
  thodi adhoori si zaroori bewakoofi si
  kahani atrangi si paheli anokhi si
  thodi adhoori si zaroori bewakoofi si
  
  phir maqsad bhi muskuraya aur uska waqt bhi palat aaya
  ik phasne phasane ka fasana ab gudgudaya
  soch se uchhla wo atrangi parinda wo
  koshish ko poori karna tha us falak ko jhatakna tha
  
  tasveerein ummeedon ki soyi huyi un khwaabon ki
  jhank kar nazar aayein jo
  lagatar wo pukar kar mil jayein
  
  kahani atrangi si paheli anokhi si
  thodi adhoori si zaroori bewakoofi si
  kahani atrangi si paheli anokhi si
  thodi adhoori si zaroori bewakoofi si
  
  kahani atrangi si paheli anokhi si
  thodi adhoori si zaroori bewakoofi si
  kahani atrangi si paheli anokhi si
  thodi adhoori si zaroori bewakoofi si
  
  kahani atrangi si paheli anokhi si
  thodi adhoori si zaroori bewakoofi si
  kahani atrangi si paheli anokhi si
  thodi adhoori si zaroori bewakoofi si
                            
                            
                        