Bachche Ki Jaan Loge Kya Lyrics
kaisi ye hulchul kaisa bhuchal hai
  sasein phooli hain aur ye dil behal hai
  dhadkan ruk jaye na ye dar lagta hai mujhe
  fasta hi jata hoon ye aisa jaal hai
  aankhon pe patti bandh ke mere sar pe nishana loge kya
  
  bachche ki jaan loge kya 
  bachche ki jaan loge kya 
  bachche ki jaan loge kya 
  bachche ki jaan loge kya
  
  udta hi ja raha ye chehre ka rang hai
  badhti betabiyan aur mamla tang hai
  bachna mumkin nahi sab koshish bekar hai
  aisa kyun lag raha hai jaise koi jung hai
  pairon se cheen li zameen ab uspe lagan loge kya
  
  bachche ki jaan loge kya
  bachche ki jaan loge kya
  bachche ki jaan loge kya
  bachche ki jaan loge kya
  
  dil ki banjar zameen pe phool kaise khille 
  shehron me barishon ki boond kaise mile 
  ehsason ki kabhi nahi hoti hain umar 
  is baat se bhi tum bhala kyun ho bekhabar 
  
  haan mai nadan hoon na mujhko kuch khabar 
  phir mujhpe manmani karte ho kyun magar
  mujhpe talwar tanke mera imtehaan loge kya 
  
  bachche ki jaan loge kya 
  bachche ki jaan loge kya 
  bachche ki jaan loge kya 
  bachche ki jaan loge kya 
  
  yadon ki titliyan jo itni sambhali hain 
  ye jo ud jaye to dil poora khali hain 
  naye pal ko khul ke aaj tu jeele to zara 
  kabhi yun bewajah bhi tu khul ke muskura 
  
  rukha sukha sa hoon na hoon shaukin mai
  thoda sangin bhi hu na hoon rangin mai
  meri neendein uda ke khud chain ke sansein loge kya 
  
  bachche ki jaan loge kya 
  bachche ki jaan loge kya 
  bachche ki jaan loge kya 
  bachche ki jaan loge kya 
  loge kya