Khoya Ujala Lyrics
rutha rutha hai ye dil bhi humara
  hai rutha har nazara
  kyun tuta tuta hai wo chand humara
  hai tuta har sitara
  kyu andhere chaye yun faila ke bahen
  kyu hum ladkhadye fir bhi chalte chalte rahe
  kyu kadmon me aaye yu apne hi saye
  kyu hum bharmaye dil ke kisse kissey kahen
  khoya ujala khoya ujala
  humein rukna na aay khoya ujaala
  hum chalte chalte rahe khoya ujala
  
  bhiga bhiga sa ek khwab humara
  palkon ka kinara
  ruka ruka sa ye paanv humara
  khud ka hi sahara 
  ye kuch lamhe aaye jina sikhaaye
  dil na ghabraye yun hi chalte chalte rahe
  jab waqt jhukaye jhukna na aaye
  dil ko samjhaye yun hi chalte chalte rahe
  khoya ujala khoya ujala
  humein rukna na aaye
  khoya ujaala
  ek nanha sitara kahin tuta tut ke ye kah gaya
  chalte hi rahna chalna hi to hai jina
  khoya ujala khoya ujala
  humein rukna na aaye khoya ujala
  hum chalte chalte rahe khoya ujala
                            
                            
                        