The House Next Door Theme Lyrics

kai sadiyon pehli purani baat hai ke jab se aasman zameen ka saath hai aur yeh pagal hawaa sansanati hui dhundi thi yaha kaha mera pyar hai ik din upar wala raja soch raha tha mai kuch banau fir usne parbat banaye socha thodi baraf bicha du baraf se jo pighle pighal jharne jhare ke jharno se wahi, khil khilati nadi ye nadhiyo se bana jo sagar aaj hai kai sadiyon sadiyon purani baat hai ab bhi soche upar wala kaise chalega ye sansar khada rahega kon zameen pe kon banega palanhaar fir dharti ka kiya shiringar ped banaye sundar pehredaar dekh ke ye shiringar ho gaya usko pyar bana dale jungle, jungle hi jungle yaar fir to lagne lage fal, fal pe pakne lage fal ye nadiyo ki rawani piyega kon pani koi to ruh ho, koi ho zindgani ke ab bachcha koi kahi to muskuraye uski tasveer jaise puri hone lagi magar uski tamanna adhuri hi rahi wo jadu se bhare jo beej uske pas the usne faila diye zameen pe jo unme khaas the wo aise ped hai jinme bhagwan hai jo dete pyar hai, jo lete pyar hai unhe bachcha koi jo jaake gale lagaye jo sapna dekhe wo, wo sapna sach ho jaye