Tere Bina Main (Duet) Lyrics
ho rangon bina jaise ho aasmaan
  khushboo bina jaise behti hawa
  jaise bina haya ke parda ho koi
  jaise bina duaa ke sajda koi
  tere bina mai tere bina mai
  ke tere bina mai o tere bina mai
  
  aa tujhko chahun mai toot ke
  jana kabhi na rooth ke
  ho aa tujhko chahun mai toot ke
  jana kabhi na rooth ke
  
  jaise bina rooh ke jism ho koi
  jaise bina wafa ke ishq koi
  tere bina mai tere bina mai
  ke tere bina mai o ke tere bina mai
  
  tujhe bandh ke main taveez sa
  apna bana loon main khuda
  yehi minnatein yehi hai dua
  ishq mukammal ho mera
  o yahi minntein hai meri 
  aaye na judayi 
  bezar se jahan me jiunga nahi 
  tere bina mai tere bina mai
  ke tere bina mai o ke tere bina mai
                            
                            
                        