Kitnaa Sundar Kitna Pyara Mera Sansaar Lyrics
kitna sunder kitna pyara
  kitna sunder kitna pyara mera sansaar
  ke is angana me maine paya piya ji ka pyar
  kitna sunder
  
  mere devta ka ghar hain
  mere pyar ka mandir hain sukh se bhara
  mere devta ka ghar hain
  mere pyar ka mandir hain sukh se bhara
  mahal mile na mile banke rahega yahi swarg mera
  gun gun gaau main piya ko rijhau main
  gun gun gaau main piya ko rijhau main
  jhan jhan baaje mere man ka sitar
  kitna sunder kitna sunder kitna pyara 
  mera sansaar kitna sunder
  
  subh din aaya aisa
  phul hazaaron man me khil hi gaye
  subh din aaya aisa
  phul hazaaron man me khil hi gaye
  vidhi ne likha tha jinse mera milan
  wo to mil hi gaye
  man se mila hain man janamo ka ye bandhan
  man se mila hain man janamo ka ye bandhan
  is bandhan ka kabhi tute na taar
  kitna sunder kitna sunder kitna pyara 
  mera sansaar kitna sunder
                            
                            
                        