Daddy Lyrics
mai aaj jo kuch bhi hu bana
  daddy ho tum hi uski wajah
  mujhse hi chalne ke kabil hua mai
  daddy ho tum hi uski wajah
  kandho pe chadh ke, wo sair karke dekhi sabhi duniya
  tumse shuru mera jahaan, tum hi mere ho aasman
  tumse shuru mera jahaan, daddy tum mere ho aasman
  
  tha pyar kitna mujhse tumhara, anjan hi mai raha
  khud ki na parwah tumne kabhi ki, manga jo mujhko diya
  samjha kabhi na gussa tumhara, naraz tumse raha
  chot lagi jo roya tha mai to, aansu tumhara gira
  yaade wo kal ki nadani halki, aankhe bhigoti hai yaha
  dhup me jal ke, raato me jag ke di hai sabhi khushiya
  tumse shuru mera jahaan, tum hi mere ho aasman
  tumse shuru mera jahaan, daddy tum mere ho aasman
  mai aaj jo kuch bhi hu bana
  daddy tum hi ho uski wajah
  
  
  Starring:-
  (Primary Cast ):
  Uday Chandra, Vineet Dhingra, 
  Suresh, Kusumakar Kaushik,Anjum Singh 
  ,Nisha Lulla & Mayank Paresh Padia
                            
                            
                        