Wo Jahan Lyrics
neela aakash jo ek samandar hai usme kahi koi aisa sitara bhi hai jisme dusri ek duniya ho basi, jisme ho jaagti zindagi par humse alag, humse judaa ek nishaan bhi na ho jahan dard ka, jina jaha ho nahi mushkil koi rota na ho, chain khota na ho ho ye sabko yakin, koi tanha nahi na kabhi toote kisi ka dil wo jahaan, koi dukh ho na ho koi gham wo jahaan, palke naa ho nam dilo me ho na diware na duriya, wo jahaan pure ho armaan sabko ho ye pataa sab dilo me mohabbat ek gehri dhara bhi hai neele aakash me koi aisa sitara bhi hai neele aakash ke is samandar ka chand ki kashti me maine kiya hai safar dhundti ho agar tum jo duniya hasin wo duniya hai yahi, wo yahi hai kahi ha magar uske chehre par nafrat ki, zulm ki ek dhul hai jam gayi ha magar uske tan pe lipti lalach ki hai zanjir to wo duniya aate aate tham gayi uske chehre se ye dhul hat jaaye to uske tan se ye zanjir kat jaaye to dekhna phir yaha is zamin par hi hogi wo duniya wo jahaan, koi dukh ho na ho koi gham wo jahaan, palke naa ho nam dilo me ho na diware na duriya, wo jahaan pure ho armaan muskurati ho chehro pe ek roshni zindagi ho mohabbat bhari zindagi