Paani Ka Rasta Lyrics
aasman kitna sara tha aasman, jispe humne tha sab dhara 
  pair badal pe tha aaya, rasta hum the paani ka rasta 
  na kisi se bhi vasta, dhoop the hum hi the saaya 
  dhuaa aisa utha, taro se tut ke gira 
  kuwa aisa bana, rassi se chhut ke gira
  
  rasta pani ka tha jo rasta, ud gaya banke bhap sa 
  mera dhundhla hua saaya 
  aasman kitna sara tha aasman, mit gaya kachche khwab sa 
  raat ne mera dil khaya
  dhuaa aisa utha, taro se tut ke gira 
  kuwa aisa bana, rassi se chhut ke gira 
  jal jal ke mudna aur dar dar ke udna hua, kyu hua 
  bach bach ke chalna kehna koi sach na hua, kyu hua
  
  hua naraz sa shako se chhut ke gira 
  jua har saans ka aankho me keel sa gada
  dhuaa aisa utha, taro se tut ke gira 
  kuwa aisa bana, rassi se chhut ke gira
                            
                            
                        