Halka Halka (Mtv) Lyrics
paas rehta hai, dur rehta hai
  paas rehta hai, dur rehta hai
  koi dil me zarur rehta hai
  koi dil me zarur rehta hai
  jab se dekha hai teri aankho ko
  jab se dekha hai teri aankho ko
  halka halka surur rehta hai
  halka halka surur rehta hai
  aise rehte ho tum mere dil me
  aise rehte ho tum mere dil me
  jaise zulmat me noor rehta hai
  jaise zulmat me noor rehta hai
  ab adam ka ye haal hai har waqt
  mast rehta hai, chur rehta hai
  
  yeh jo halka halka surur hai, yeh jo halka halka surur hai
  yeh teri nazar ka qasur hai ke sharab pina sikha diya
  yeh teri nazar ka qasur hai ke sharab pina sikha diya
  ke sharab pina sikha diya
  yeh teri nazar ka qasur hai ke sharab pina sikha diya
  yeh teri nazar ka qasur hai ke sharab pina sikha diya
  yeh teri nazar ka qasur hai ke sharab pina sikha diya
  yeh jo halka halka surur hai, yeh jo halka halka surur hai
  yeh teri nazar ka qasur hai, yeh teri nazar ka qasur hai
  ke sharab pina sikha diya, ke sharab pina sikha diya
  
  tere pyar ne teri chaah ne, tere pyar ne teri chaah ne
  teri behki behki nigaah ne mujhe ek sharabi bana diya

  sharab kaisi, khumar kaisa yeh sab tumhari nawazishe hai
  sharab kaisi, khumar kaisa yeh sab tumhari nawazishe hai
  pilayi hai kis nazar se tune ke mujhko apni khabar nahi hai
  teri behki behki nigaah ne mujhe ek sharabi bana diya
  teri behki behki nigaah ne mujhe ek sharabi bana diya
  tera pyar hai meri zindagi, tera pyar hai meri zindagi
  tera pyar hai meri zindagi, tera pyar hai meri zindagi
  tera pyar hai bas meri zindagi
  tera pyar hai bas meri zindagi
  tera pyar hai bas meri zindagi
  tera pyar hai bas meri zindagi, tera pyar hai
  
  mai azal se banda e ishq hu, mai azal se banda e ishq hu
  mujhe zuhd-o-kufr ka gam nahi, mujhe zuhd-o-kufr ka gam nahi
  mere sar ko dar tera mil gaya, mujhe ab talash-e-haram nahi
  mere sar ko dar tera mil gaya, mujhe ab talash-e-haram nahi
  meri bandagi hai wo bandagi jo baqaid-e-dair-o-haram nahi
  meri bandagi hai wo bandagi jo baqaid-e-dair-o-haram nahi
  mera ik nazar tujhe dekhna
  mera ik nazar tujhe dekhna bakhuda namaz se kam nahi hai
  bas meri zindagi tera pyaar hai
  bas meri zindagi tera pyaar hai
  bas meri zindagi tera pyaar hai
  bas meri zindagi tera pyaar hai
  
  bas meri zindagi tera pyaar hai
  bas meri zindagi tera pyaar hai
  bas meri zindagi tera pyaar hai
  meri zindagi teri yaad hai
  meri bandagi teri yaad hai meri bandagi
  jo teri khushi wo meri khushi, jo teri khushi wo meri khushi
  ye mere junun ka hai muajza, ye mere junun ka hai muajza
  jaha apne sar ko jhuka diya waha maine kaaba bana diya
  jaha apne sar ko jhuka diya waha maine kaaba bana diya
  mere baad kisko sataaoge, mere baad kisko sataaoge
  mere baad kisko sataaoge, mere baad kisko sataaoge
  maine unke saamne, maine unke saamne
  maine unke saamne awwal-to-khanjar rakh diya
  phir kaleja rakh diya, dil rakh diya sar rakh diya
  aur arz kiya mere baad kisko sataaoge
  mere baad kisko sataaoge, mere baad kisko sataaoge
  mere baad kisko sataaoge, mere baad kisko sataaoge
  
  jo puchha ke kis tarah hoti hai barish
  jabin se pasine ki bunde gira di
  jabin se pasine ki bunde gira di
  jabin se pasine ki bunde gira di
  jo puchha shab-o-roz milte hai kaise
  to chehre pe apne wo zulfe gira di
  to chehre pe apne wo zulfe gira di
  jo apni tamannaao ka haal puchha
  to jalti hui chand shamme bujha di
  to jalti hui chand shamme bujha di
  mai kehta reh gaya khata-e-mohabbat ki achchi saza di
  khata-e-mohabbat ki achchi saza di
  mere dil ki duniya bana kar mita di achcha
  mere baad kisko sataaoge, mere baad kisko sataaoge
  mujhe kis tarah se mitaaoge, mujhe kis tarah se mitaaoge
  kahan ja ke teer chalaaoge, kahan ja ke teer chalaaoge
  meri dosti ki balaaye lo, meri dosti ki balaaye lo
  mujhe hath utha kar duaaye do tumhe ek katil bana diya
  mujhe hath utha kar duaaye do tumhe ek katil bana diya
  yeh jo halka halka surur hai
  yeh teri nazar ka qasur hai ke sharab pina sikha diya