Yesu Allah Aur Krishna (Mtv) Lyrics
yeshu allah aur krishna yeshu allah aur krishna kaun bhagwan hai apna yeshu allah aur krishna kaun bhagwan hai apna phul pe phul chadha de, diye pe diye jala de phul pe phul chadha de, diye pe diye jala de mala pe mala japna, maal ko andar karna mala pe mala japna, maal ko andar karna yeshu allah aur krishna kaun bhagwan hai apna yeshu allah aur krishna kaun bhagwan hai apna yeshu allah aur krishna sant kabir ne, sant kabir ne sant kabir ne dekh tha ek sapna jaha paraya koi nahi, jo bhi hai apna par maharaj ye sant kabir kaun tha sant kabir kaun tha, sant kabir wo tha jiski vani thi gyan ki gagariya sant kabir wo tha jisne apne doho se manavta ka dharam samjhaya to aaj isi kabir ke baare me kuchh bolenge kuch gayenge aur mtv unplugged me rang jamayenge sant kabir ne dekh tha ek sapna jaha paraya koi nahi, jo bhi hai apna ye barso ki baat nahi hai ye kal ki breaking news bhi nahi ye intolerance bhi nahi par yaar ye sant kabir aaya dharti pe sant kabir dharti pe, dharti pe sant kabir sant kabir dharti pe, dharti pe sant kabir are sant kabir aa gaya pichhe mud ke kya dekhto ho madam sant kabir tumhare dil me hai tumhare man me hai sant kabir ji ha hum sab me hai sant kabir par ye duniya ki jo duniyadari hai usme hum bhul gaye hai to ghar ja ke sochiyega hum sab me hai sant kabir to sant kabir aaya dharti pe aur bole 500 saal me kuch khas nahi badla hai jine ke liye jo zaruri hai wo swas nahi badla hai poshakh badli hai par insan nahi badla hai dar wahi hai dar ka saman kahi badla hai pehle chalti thi talvar ki dhar ab chalti hai goliyo ki bauchhar 500 saal me kuch khas nahi badla hai isiliye kabir ne kaha din me to sab hai gyani, are sadho din me to sab hai gyani aur raat me chor ki nani din me to sab hai gyani, raat me chor ki nani yeshu allah aur krishna kaun bhagwan hai apna yeshu allah aur krishna kaun bhagwan hai apna phul pe phul chadha de, diye pe diye jala de phul pe phul chadha de, diye pe diye jala de mala pe mala japna, maal ko andar karna yeshu allah aur krishna kaun bhagwan hai apna