Masoom Sa Lyrics
paalne me chand utra khubsurat khwaab jaisa god me usko uthata toh mujhe lagta tha waisa saara jahan mera hua, saara jahan mera hua subah ki wo pehli dua yaa phul resham ka masoom sa masoom sa, mere aas pass tha masoom sa mere aas pass tha masoom sa, ho masoom sa ek kamra tha magar saara zamana tha waha khel bhi the aur khushi thi, dostana tha waha chaar diwaro me rehti thi hazaro mastiya the wahi patwar bhi, sagar bhi the aur kashtiya the wahi patwar bhi, sagar bhi the aur kashtiya meri to wo pehchan tha, meri to wo pehchan tha ya yu kaho ki jaan tha wo chand aangan ka masoom sa masoom sa, mere aas pass tha masoom sa mere aas pass tha masoom sa, ho masoom sa meri ungli ko pakad wo chaand chalta sheher me zindagi ki beraham si dhup me, dopahar me main sunaata tha use afsaane rangin shaam ke taaki wo chalta rahe, chalta rahe aur na thake taaki wo chalta rahe, chalta rahe aur na thake na manzilo ka tha pata, na manzilo ka tha pata thi zindagi ik raasta, wo saath har pal tha masoom sa masoom sa, mere aas pass tha masoom sa mere aas pass tha masoom sa, ho masoom sa