Titli - I Lyrics
kaisa ye kaarvaan, kaise hai raaste khwabo ko sach karne ke liye titli ne sare rang bech diye khwabo ko sach karne ke liye titli ne sare rang bech diye saara sukun hai khoya khushiyo ki chahat me dil ye seham saa jaaye chhoti si aahat me kuch bhi samajh na aaye jaana hai kaha khwabo ko sach karne ke liye titli ne sare rang bech diye khwabo ko sach karne ke liye titli ne sare rang bech diye alfaaz saanso me hi aake bikharte jaaye khamoshiyo me bole ye aankhe bezubaan parchhaiya hai saathi, chalta hi jaaye raahi koi na dekhe ab toh zakhmo ke nishaan kuch bhi samajh na aaye jaana hai kaha khwabo ko sach karne ke liye titli ne sare rang bech diye khwabo ko sach karne ke liye titli ne sare rang bech diye na roshni hai koi, aashaye khoyi khoyi tuta futa hai ye ummido ka jahaan na bekarari koi, bandish rihaai koi ab toh nigaaho me na koi intezaar kuch bhi samajh na aaye jaana hai kaha khwabo ko sach karne ke liye titli ne sare rang bech diye khwabo ko sach karne ke liye titli ne sare rang bech diye