Sathi Re Lyrics
sathi rey thoda thehar ja
  abhi raste kuch badal se jayenge
  o sathi rey thoda thehar ja
  yeh panv bhi ab sambhal se jayenge
  phir wohi barsat hogi aur ashq sare dhul se jayenge
  roshni din raat hogi aur sab jharokhe khul se jayenge
  yara tu hi toh bandagi hai, yara tu hi dua
  yara kaisi ye berukhi hai, kyun juda tu hua
  kehna tha aur kya kya mujhe
  nind kyun aa gayi phir tujhe
  
  sathi rey thoda thehar ja
  abhi mausamo ka badalna baki hai
  o sathi rey thoda thehar ja
  kuch dur sath chalna baki hai
  phir unhi rasto pe tere mere kadmo ka milna baki hai
  dard me, ranjisho me sang bujhna aur jalna baki hai
  yara tu hi toh bandagi hai, yara tu hi dua
  yara kaisi ye berukhi hai, kyun judaa tu hua
  yara tu hi to bandagi hai, yara tu hi dua
  yara kaisi ye berukhi hai, kyun judaa tu hua
  ha tere aur mere darmiya ab bhi baki hai ik dasta