Hak Hai Lyrics

ghor andhera, kehta raha, haar ja ek sitaara mana nahi, na dara roshni ki ik bund pe, zinda raha wo, zinda raha wo zindagi ki kuch doriyo ko jakde hue, kehta raha haq hai mujhe jalne ka haq hai mujhe jeene ka haq hai mera ambar pe, leke rahunga haq mera leke rahunga haq mera, karta hu wada mere lahu ka qatra abhi garm hai, ek adhura mera abhi karm hai din mahine aur saal ki ginta raha wo, ginta raha wo hosle ki kuch tiliyo ko pakde huye, Kehta raha haq hai mujhe jalne ka haq hai mujhe jeene ka haq hai mera ambar pe, leke rahunga haq mera leke rahunga haq mera, karta hu wada main jaanta hu mujhe aakhir ek na ek din, marna hai par jab talak bhi jeeyu wo jeena kaisa, tai karna hai mitti ki kaya me lohe ka hai irada haq hai mujhe jalne ka haq hai mujhe jeene ka haq hai mera ambar pe, leke rahunga haq mera leke rahunga haq mera, tu dekh lena