Grahan Lyrics
khushi ke jalte suraj ko, sukun ke ujle gumbaj ko buri nazro ka nigal gaya grahan asar tha uski sazish me, jo saiyyaron ki gardish me zahar ki tarah thehar gaya grahan khushi ke jalte suraj ko, sukun ke ujle gumbaj ko buri nazro ka nigal gaya grahan wo aafat hi kuchh aisi thi, ke fitrat deemak jaisi thi jo til-til karke utar gaya grahan nazro ke aage dhundh hai, sab darwaaze band hai jhutha lage har dilasa haanf rahi awaaz hai, parde ke piche raaz hai hota nahi kyun khulasa muskurahat sehmi hai, gham ki gehma ghemi hai duaye saari nikli ke bewafa raat katti karwat me, aansu chhupa ke silwat me subah ki kirne bhi lagti hai khafa qayamat bhar ke daaman me, kisi ke ghar ke angan me kehar ki tarah utar gaya grahan nazro ke aage dhundh hai, sab darwaaze band hai jhutha lage har dilasa haanf rahi awaaz hai, parde ke piche raaz hai hota nahi kyun khulasa