Hua Hai Aaj Pehli Baar Lyrics
hua hai aaj pehli baar jo aise muskuraya hu
  tumhe dekha toh jana ye ke kyu duniya me aaya hu
  hua hai aaj pehli baar jo aise muskuraya hu
  tumhe dekha toh jana ye ke kyu duniya me aaya hu
  ye jaan lekar ke jaa meri tumhe jine main aaya hu
  main tumse ishq karne ki ijazat rab se laaya hu
  
  zamin se aasman tak hum dhundh aaye jahan sara
  bana paaya nahi ab tak khuda tumse koi pyaara
  zamin se aasman tak hum dhundh aaye jahan sara
  bana paaya nahi ab tak khuda tumse koi pyaara
  baaton me teri hain badmashiya
  sab bewajah ki hain taarifiyaa
  main likh du aasmaan par ye
  ke padh lega jahaan saara
  huaa na hoga ab koi yahan hum do sa dobara
  mai duniya bhar ki tarife tere sajde me laya hu
  mai tumse ishq karne ki ijazat rab se laaya hu
  rab se laaya hoon, rab se laaya hoon
  
  tu hai jo rubaru mere bada mehfooz rehta hoon
  tere milne ka shukrana khuda se roz karta hoon
  tu hai jo rubaru mere bada mehfooz rehta hoon
  tere milne ka shukrana khuda se roz karta hoon
  humko pata hai yeh nadaniyaan hain
  aawara dil ki hai aawariyan
  yeh dil pagal bana baitha ise ab tu hi samjha de
  dikhe tujhme meri duniya, meri duniya tu banja re
  hu khushkismat jo kismat se tumhe aise mai paya hu
  main tumse ishq karne ki ijazat rab se laaya hu
                            
                            
                        