Zindagi Kya Tera Nasha Lyrics
zindagi kya tera nasha
  koi mehka, koi behka tere ishq ka
  zindagi uff teri ada
  kahin tohfa, kahin jhonka tere ishq ka
  tu din raat bhar saanso me yu dub kar
  chahte de ja rahi humko yaha, humko yaha
  zindagi kya tera nasha
  koi mehka, koi behka tere ishq ka
  zindagi uff teri ada
  kahin tohfa, kahin jhonka tere ishq ka
  tu din raat bhar saanso me yu dub kar
  chahte de ja rahi humko yaha, humko yaha
  yaha
  
  bewaqt deti hai tu khushiyon ki sada
  har chehra le aati khushnuma
  tere irade hain bas tujhko hi pata
  har lamha hai lamha jashn ka
  
  dhage tu, baandhe tu
  in saanso ko deke ek disha
  aage tu, bhaage tu
  kuch yaadon ke pichhe rakh nisha
  kahin tohfa, kahin jhonka tere ishq ka
  zindagi kya tera nasha
  koi mehka, koi behka tere ishq ka
  zindagi uff teri ada
  kahin tohfa, kahin jhonka tere ishq ka
  
  kambakht seedhi lagti par seedhi kahan
  hai tedhi par meethi daasta
  khamosh pal bhar ko bhi na rahti yaha
  bin baate kah jati kya se kya
  kabhi dur nahi tu
  hai seene mein teri ek jagah
  aage tu, bhaage tu
  kuch yaadon ke piche rakh nisha
  kahin tohfa, kahin jhonka tere ishq ka
  zindagi kya tera nasha
  koi mehka, koi behka tere ishq ka
  zindagi uff teri ada
  kahin tohfa, kahin jhonka tere ishq ka
  zindagi, zindagi, zindagi
                            
                            
                        