Tera Deedar Lyrics
deedar tera deedar 
  kya hosh zamane ka us pyar ki hasrat mein 
  hun khud se begani main yaar ki hasrat mein
  o kya hosh zamane ka us pyar ki hasrat mein 
  kya hosh zamane ka us pyar ki hasrat mein 
  hun khud se begani main yaar ki hasrat mein
  hun khud se begani main yaar ki hasrat mein
  
  lafzon mein namumkin halat ye bayaan karna 
  fat jaye na dil mera deedar ki hasrat mein 
  o lafzon mein namumkin halaat ye bayan karna 
  lafzon mein namumkin halat ye bayan karna 
  fat jaye na dil mera, deedar ki hasrat mein 

  deedar tera deedar, ho jaye bas tera deedar 

  mausam ye judayi ka dushvari se kata hai 
  gam apna sanam maine teri yaadon se baanta hai 
  is din ke yakin par to saason ki ravani thi 
  ye pal bhi mohabbat ki taqdeer mein aata hai 
  o  mausam ye judayi ka dushvari se kata hai 
  gam apna sanam maine teri yadon se banta hai 
  is din ke yakin par to sason ki ravani thi 
  ye pal bhi mohabbat ki taqdeer mein aata hai 
  tadapi hun khisab banke main bahar hi hasrat mein 
  hun khud se begani main yaar ki hasrat mein
  hun khud se begani main yaar ki hasrat mein
  deedar tera deedar, ho jaye bas tera deedar 
  deedar tera deedar, ho jaye bas tera deedar 
  
  tere aane ka is dil ne kayi baar bhram toda 
  tanhayi ne bhi tanha ek pal ko nahi chhoda 
  khushiyo ke hazaro rang bikhare hain mere dil mein 
  rukh meri mohabbat ne meri jaan ko hai moda 
  o tere aane ka is dil ne kayi baar bhram toda 
  tanhayi ne bhi tanha ek pal ko nahi chhoda 
  khushiyo ke hazaro rang bikhare hain mere dil mein 
  rukh meri mohabbat ne meri jaan ko hai moda 
  din raat jali hun main shringar ki hasrat mein
  hun khud se begani, main yaar ki hasrat mein
  hun khud se begani, main yaar ki hasrat mein
  
  deedar tera deedar, ho jaye bas tera deedar 
  deedar tera deedar, ho jaye bas tera deedar 
  deedar tera deedar, ho jaye bas tera deedar 
  deedar tera deedar, ho jaye bas tera deedar 
  
  hai fasla kuch pal ka bas samne hai manzil 
  aasan zara kar de kam kar de meri mushkil 
  deedar tera deedar 
  trishna zindagi ko tu karar ataa kar de 
  mere maula mujhe apna tu pyar ataa kar de 
  deedar tera deedar 
  ab or bhala kitna chahat aajmayegi
  na jane teri surat kab samne aayegi
  deedar tera deedar
  ab tut chuki hun main kahin haar na jaaun main
  dam hi na nikal jaye, dildar ki hasrat mein
  dam hi na nikal jaye, dildar ki hasrat mein
  dam hi na nikal jaye, dildar ki hasrat mein
  hun khud se begani main yaar ki hasrat mein
  hun khud se begani main yaar ki hasrat mein
  
  deedar tera deedar, ho jaaye bas tera deedar 