Tujhse Door Rasta Ho Gaya (Dil Kya Banaya Rab Ne) Lyrics
jab todna hi tha sabne 
  dil kyun banaya rab ne 
  jab todna hi tha sabne 
  dil kyun banaya rab ne 
  koi na mila jiska dil 
  tuta hi na ho is jag me
  koi na mila jiska dil 
  tuta hi na ho is jag me
  
  tujhse dur rasta ho gaya 
  to safar hi saza ho gaya 
  lamhon se kya shikayat kare hum
  waqt hi khafa ho gaya 
  kisko bataye ab kise samjhaye 
  dard dilon ke ab kiski dikhaye
  
  samjhne na koi majburiya
  milne lagi hain jo duriyan 
  dil ne to ye chaha nahi 
  fir kisne hai di manjuriya
  samjhne na koi majburiya
  milne lagi hain jo duriyan 
  dil ne to ye chaha nahi 
  fir kisne hai di manjuriya
   
  jaaniya tu aayi to jiye 
  tu gayi to gaye jaan se 
  jaaniya barsane lage aansu 
  aankhon ke aasmaan se 
  aankhon ke aasmaan se 
  rulana hi tha agar khuda 
  fir kyun mujhe hasaya tha 
  chhin liya tune yahan 
  jo bhi mera humsaya tha 
  rulana hi tha agar khuda 
  fir kyun mujhe hasaya tha 
  chhin liya tune yahan 
  jo bhi mera humsaya tha 
  
  jaaniya fir milenge kabhi
  in raahon me kisi mod pe 
  jaaniya dil jaane laga in 
  dhadakano ko ab chhod ke
  dhadakano ko ab chhod ke
  jab todna hi tha sabne 
  dil kyun banaya rab ne 
  koi na mila jiska dil 
  tuta hi na ho jag me
  koi na mila jiska dil 
  tuta hi na ho jag me
  tujhse dur rasta ho gaya 
  to safar hi saza ho gaya
                            
                            
                        