Purana Yaar Lyrics
purana yaar jab milta hain koi puchh leta hoon purana yaar jab milta hain koi puchh leta hoon watan mein woh jo kachcha ghar tha mera ab woh kaisa hain purana yaar jab milta hain koi puchh leta hoon watan mein woh jo kachcha ghar tha mera ab woh kaisa hain purana yaar jab milta hain koi puchh leta hoon wo sab mitti ki deeware zara jo sar se unchi thi kahin aadi kahin tirchhi ke jo bilkul na sidhi thi thi un par ek chhat lohe ke be tip patron ki woh patre aandhiyaan chalti toh aksar udd bhi jaate they kabhi woh tut jaate they kabhi woh tut jaate they kabhi woh mud bhi jaate they naya ghar jaa nikal aata thaa baarish ke zamane mein ke ghehne maa ke beek jaate they us mausam suhaane mein purana yaar jab milta hain koi puchh leta hoon woh kachcha ghar hi tha apni zameen aur aasmaan apna ke jiski dhool mitti mein basaa thaa ek jahaan apna use maa lipati thi pot-ti thi aur sajati thi use maa lipati thi pot-ti thi aur sajati thi ke kachche ghar ko woh nadaan ek jannat banati thi ke ek jannat banati thi purana yaar jab milta hain koi puchh leta hoon mohabbat thi use us ghar ke ek ek zarre zarre se mohabbat thi use us ghar ke ek ek zarre zarre se ki jiski dhool mein ek roz woh bhi ho gayi mitti zanaja jab utha toh sab daro deewar roye the mila ek umra ka banvaas mujhko apne us ghar se jahaan bachpan guzara kat gaya rishta usi dar se woh kachcha ghar azizo ne mere ab bech daala hain khuda jaane wahaa kya ho gaya kya hone wala hain, kya hone wala hain purana yaar jab milta hain koi puchh leta hoon watan mein woh jo kachcha ghar tha mera purana yaar jab milta hain koi puchh leta hoon