Ka Kha Ga Gha Lyrics
aye tumse mili toh pyar ka seekha hai ka kha ga gha
  aye samjhao na, kyun pyar ka ulta hai ka kha ga gha
  kyun jo dard de, tadpaye bhi lagta hai pyara wohi
  kyun toote yeh dil dehlaaye dil kabhi
  
  tairne ki jo koshishein kare kaahe doob jaata hai
  sab bhula ke jo doob jaaye kyun wohi tair paata hai
  wo joh har khel mein jeeta yahan, dilbar se hara wohi
  kyun toote yeh dil dehlaaye dil kabhi
  aye tumse mili toh pyar ka seekha hai ka kha ga gha
  aye samjhao na, kyun pyar ka ulta hai ka kha ga gha
  
  dhat teri
  iski har saza kubool ho jise yahan wahi wahi bari hua hai
  ispe jo mukadmaa kare aji wahi wahi mara hai
  batao kyun, is jail se bhaaga hai jo dobara lauta woh bhi
  kyun toote yeh dil dehlaaye dil kabhi
  aye tumse mili toh pyar ka seekha hai ka kha ga gha
  aye samjhao na, kyun pyar ka ulta hai ka kha ga gha
                            
                            
                        