Ye Kya Kiya Sylvia Lyrics
jhoothe moothe vaade wafaon ke gina ke
  jhoothe moothe vaade wafaon ke gina ke
  apne deewane ko tu chhod gayi, chhod gayi
  ye kya kiya sylvia, ye kya kiya sylvia
  ek bhanwre se nain lada ke
  apne piya ka dil tod gayi, tod gayi
  ye kya kiya sylvia, ye kyun kiya
  
  sachche jazbat ki kadar nahi haye
  tujhe kisi gair ki chhuan sada bhaye
  sachche jazbat ki kadar nahi haye
  tujhe kisi gair ki chhuan sada bhaye
  zamana de duhai, kahe wo phir khayi
  jin kasmon se munh mod gayi, mod gayi
  ye kya kiya sylvia, ye kya kiya sylvia
  
  bhanwra tha sayaana mukar hi gaya na
  ruswai reh gayi, ruswayi
  ghonsla suhana ujad hi gaya na
  tanhai reh gayi, tanhayi
  aankhon ke surme ko daag banaya
  kanch ke ashiyan ko phoonk jalaya
  fitrat mein teri thi bewafai
  tu pyar pe tohmat chhod gayi
  ye kya kiya Sylvia, ye kya kiya Sylvia
  yeh kya kiya Sylvia
                            
                            
                        