Lafze Bayaan Lyrics
kar do zara lafze bayaan jo sunna chaahe mera man
  kar do zara lafze bayaan jo sunna chaahe mera man
  
  main jism hoon, tu hai meri rooh
  main jism hoon, tu hai meri rooh
  tujhe hoor ki khushamat main doon
  kar do zara lafze bayaan jo sunna chaahe mera man
  
  likh do zara harf naya panno pe dil ke sanam
  main khushke zameen, baadal hai tu
  main khushke zameen, baadal hai tu
  mujhpe baras ja, ijazat main doon
  kar do zara lafze bayaan jo sunna chaahe mera man
  
  keh do zara yeh jism-o-jaan
  kar doge mujhpe nazar
  mere ishq ki inteha hai tu
  mere ishq ki inteha hai tu
  baaqi main tab tak jab tak hai tu
  kar do zara hey mera man
                            
                            
                        