Khuda Bhi Na Dikhe Lyrics
ye kaisi kashmakash hai, ye kaisi rehguzar hai
  ye kaisi kashmakash hai, ye kaisi rehguzar hai
  
  main uljha hoon, pareshan hoon
  main uljha hoon, pareshan hoon
  huyi kya mujhse aisi khata
  
  khuda bhi na dikhe, dua bhi na lage
  jahan tak jaye nazre dhua hi dhua dikhe
  khuda bhi na dikhe, dua bhi na lage
  jahan tak jaye nazre dhua hi dhua dikhe
  
  ret ka mahal woh tha lehro me shayad jo beh gaya
  
  ret ka mahal woh tha lehro me shayad jo beh gaya
  khwahisho ka aashiyan chand saanse lekar ke deh gaya
  
  rabba khud ke hi saye lage aaj paraye
  rabba khud ke hi saye lage aaj paraye
  
  main uljha hoon, pareshan hoon
  main uljha hoon, pareshan hoon
  huyi kya mujhse aisi khata
  khuda bhi na dikhe, dua bhi na lage
  jahan tak jaaye nazre dhuaa hi dhua dikhe
  
  zindagi ne ishq me mujhe aise manzar dikhaye hain
  zindagi ne ishq me mujhe aise manzar dikhaye hain
  palko pe meri sada ashqo ke baadal hi chhaye hai
  rabba chain na aaye, din rein sataye
  rabba chain na aaye, din rein sataye
  
  main uljha hoon, pareshan hoon
  main uljha hoon, pareshan hoon
  huyi kya mujhse aisi khata
  khuda bhi na dikhe, dua bhi na lage
  jahan tak jaye nazre dhuaa hi dhua dikhe
  
  dard ka hai silsila, seene me ghum be-shumar hai
  dard ka hai silsila, seene me ghum be-shumar hai
  chaahate mili kaha mile zakhm mujhko hazar hai
  rabba pal hi me kaise sau khwaab hai toote
  rabba pal hi me kaise sau khwaab hai toote
  main uljha hoon, pareshan hoon
  main uljha hoon, pareshan hoon
  huyi kya mujhse aisi khata
  
  khuda bhi na dikhe, dua bhi na lage
  jahan tak jaye nazre dhua hi dhua dikhe