Sautela Sheher Lyrics
wahi subah wahi sham hai
  wahi chehre wahi naam hai
  wahi dhadkan wahi roshni bhi
  allah yahin yahin raam hai
  phir bhi kyun ajnabi
  phir main kyun main nahi
  phir hai kyun ye makan ghar nahi
  
  sautela sa ye sheher
  sautela hai ye magar
  phir bhi apna hai ye jahan
  sau jagah jaye dagar
  sau wajah jane ki par
  phir bhi jeena ab hai yahan
  sautela sheher, sautela sheher
  sautela sheher
  
  jage jage nain thaka re
  bhage bhage pavn thake hain
  muskuraye gungunaye
  karta jaye ehsan savere
  na hai chhatri na hai chhat re
  aur ye sapno ki takat re
  ye samandar o ri ambar ren basere
  phiy kyun tu ajnabi, phir kyun tu tu nahi
  phir hai kyun ye aafiya ghar nahi
  
  sautela sa ye sheher
  sautela hai ye magar
  phir bhi apna hai ye jahan
  sau jagah jaye dagar
  sau wajah jane ki par
  phir bhi jeena ab hai yahan
  sautela sheher, sautela sheher
  sautela sheher
  
  sapno ka shehar hai ye mera
  tu sang hai to ghar hai ye mera
  jaisa bhi hai par hai ye mera
  pichhe kahin chhuta hai jo
  gaon mera rootha hai jo
  meri zameen meri hawa kaha mera aasma
  ab main hu ajnabi, ab main hu main nahi
  hai ye mera aashiyan par ghar nahi woh
  
  phir bhi apna hai ye jahan
  sau jagah jaye dagar, jana hai par
  phir bhi jeena ab hai yahan
  sautela sheher, sautela sheher
  sautela sheher, sautela sheher
  sautela sheher, sautela sheher
                            
                            
                        