Aisa Yeh Jahaan (Title Song) Lyrics
chaandi jaisi roshani thi
  maili maili si kyu huyi
  sheeshe jaisi ye nadi thi
  ab ye pehle si kyun nahin
  aisa ye jahaan, aisa ye jahan
  aisa ye jahaan, aisa ye jahan
  
  na samajh ye samajh na paaye
  tera mera na hai ye jahan
  sadiyon se chalta aaya hai ye
  rahega ye hamesha yahan
  ho chalta jaa chalta jaa chalta jaa
  saansen de jeevan mein dhalta jaa
  sang mausam ke tu rang badalta jaa
  dekh bande rukna nahin jhukna nahi, chalta hi jaa tu
  dekh bande auro ko de tu zindagi, chalta hi jaa tu
  reh jaayega yahan bas tera hi nishan
  dekh bande aisa ye jahan, aisa yeh jahaan
  
  panchhiyo ke aashiyaane
  pehle jitane ab kyun nahi
  daaliyo ke shaamiyo mein
  gehre utne ab kyun nahin
  chalta jaa chalta jaa chalta jaa
  yeah saansen de jeevan mein dhalta jaa
  banke shakhe tu aur nikalta jaa
  dekh bande rukna nahin jhukna nahi
  chalta hi jaa tu
  dekh bande auron ko de tu roshani
  chalta hi jaa tu
  reh jaayega bas tera hi nishan
  
  this is the world that he made no we failed it
  look at everything how changed it
  mujhe to saans nahi aati there is so much pollution
  kuch na kuch toh karna hoga gotta find a sollution
  if you dont act now i am telling you wasted
  so much smoke in the air that i can chest it
  global warming on whole of the sky
  do you really wanna live or do you wanna die
  save trees, save lives
  
  aisi zindagi aisa ye jahan
  aisa ye jahaan, aisa ye jahan
  aisa ye jahaan, aisa ye jahan
  aisa ye jahaan
                            
                            
                        