Gaaye Jaa (Male) Lyrics
suraj tera gardish mein hai
  dhalte huye keh gaya
  phir laut ke aaunga main
  nazdeek hi hai subah
  gaaye jaa, gaaye jaa
  gham mein hai sargam
  gunguna ye dhun, gaaye jaa
  gaaye ja, gaaye ja
  raat ke dhaagon se savera bun, gaaye ja
  gaaye ja, gaaye ja
  gham mein hai sargam
  gunguna ye dhun, gaaye ja
  
  apna hi apna kyun kehlaaya hai
  kaise koi tay karta hai kaun paraaya hai
  ek wohi rishta teri kamaayi hai
  dard ke pal mein jisne tera saath nibhaya hai
  toota huaa to kya sitaara tu
  kisi ka bann sahara tu
  
  gaaye ja, gaaye ja
  raat ke dhaagon se savera bun, gaaye ja
  gaaye ja, gaaye ja
  gham mein hai sargam
  gunguna ye dhun gaaye ja
  
  ho aankhon mein rakhna sapne tu kal ke
  tujhko lekin un tak jana hoga khud chal ke
  majhdhaaron se tu haar nahin jaana
  saahil tujhko paana hoga lehron mein dhalke
  hai zindagi wohi jo chalti hai
  yeh girke hi sambhalti hai
                            
                            
                        