Brothers Anthem Lyrics
ho tukdon mein bikhra andhera
  chamka sitara jo tera
  ambar pe aa dastkhat kar de
  tu ab talak tha adhoora
  hone hi wala hai poora
  hadd se guzar ja tu hadd kar de
  hai chaah toh hai raasta
  ye jaan le zara
  mumkeen nahin hai kya agar
  tu thaan le zara
  
  teri baari hai kamar kas le
  tere bas mein hai saare masle
  tere toote hue dil ki zameeno pe
  himmat ki ugaa le faslein
  tere hathon mein karam hai tera
  aur khoon garam hai tera
  koi teer nishane se chooke na
  jam ke kadam rakh le
  
  khud mein tu hathiyar hai, ladne ko taiyaar hai
  danke ki ik chot ke jaisa har tera vaar hai
  manzil tujhpe hai fidaa tera haafiz hai khuda
  kuch aisa karja ke wo bhi tujhse pooche
  bande batla de teri marzi hai kya
  
  har darr ka hata de kohra, taaqat kaa tu ban mohra
  har lakshya ko bhed ke dikhla de
  arjun ki kahaani dohra, marham ho haraam tera
  aur zakhm inaam tera ,bheega ho jo tere paseene mein
  wohi jeet ka ho chehra
  
  mana ab hai farsh par
  tera haq to hai shikhar
  har bandhan se toot ke
  apni manzil pe tu kooch kar
  charcha ho is baat ka
  duniya ki zubaan par
  upar wale ne banaya hai kya
  tere dono haathon ko talware pighla kar
                            
                            
                        