Hasi Ban Gaye (Female) Lyrics
main jaan ye vaar doon, har jeet bhi haar doon
  keemat ho koi tujhe beinteha pyaar doon
  main jaan ye vaar doon, har jeet bhi haar doon
  keemat ho koi tujhe beinteha pyaar doon
  saari hadein meri, ab maine tod di
  dekar mujhe pataa awaargi ban gaye
  haan hasi ban gaye, haan nami ban gaye
  tum mere aasmaan, meri zameen ban gaye
  
  kya khoob rab ne kiya, bin maange itna diya
  warna hai milta kahaan hum kaafiron ko khuda
  kya khoob rab ne kiya, bin maange itna diya
  warna hai milta kahaan hum kaafiron ko khuda
  hasratein ab meri tumse hai jaa mili
  tum duaa ab meri aakhiri ban gaye
  haan hasi ban gaye, haan nami ban gaye
  tum mere aasmaan, meri zameen ban gaye